Bhajan Library

Sona Sona Lagay

Roman

Opening

Maiya ki mamta sajhi sajh baba ka pyar

Baal baal ki mitrata gopiyan ki manohar

Sajh ke sab parivar ko sajh murli ki taan

Apno se mukh mod ke Mathura chale re Kanha

Chorus

Suna suna lage Brij ka dham

Gokul ko chhod chale re Ghansham

Suna suna lage Brij ka dham

Gokul ko chhod chale re Ghansham

Verse 1

Jamuna roye Madhuvan roye roye kadam ki chhaiya

Bhar bhar naina roye re gawale roye Brij ki gaiya

Raah rok kar roye mansuka bilakh rahe more Sham re

Suna suna lage Brij ka dham

Gokul ko chhod chale re Ghansham

Suna suna lage Brij ka dham

Gokul ko chhod chale re Ghansham

Verse 2

Khol sake na ghar ke panchhi ashuan se bhahre naina

Aaja Kanha na ja Kanha na ja Kanha

Aaja Kanha na ja Kanha kuke re pinjare ki maina

Nadiya roye giriwar roye le Kanha ka naam re

Suna suna lage Brij ka dham

Gokul ko chhod chale re Ghansham

Verse 3

Prem diwani Radha Rani bhar nainan me pani

Prem diwani Radha Rani bhar nainan me pani

Subak subak kahe haye re Kanha haye re Kanha

Subak subak kahe haye re Kanha

Tune birha ki peedh na jani

Kaise kategi tum bin sathi jivan ki ab shaam re

Suna suna lage Brij ka dham

Gokul ko chhod chale re Ghansham

Suna suna lage Brij ka dham

Gokul ko chhod chale re Ghansham