Bhajan Library

Aaye Bhi Akela

Roman

Chorus

Aaye bhi akela

Jaaye bhi akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela

Aaye bhi akela

Jaaye bhi akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela

Verses

Teri zindagi mauj hai do ghadi ki

Ye baaten hain naadaa sab jeete ji ki

Sab jeete ji ki

Ye duniya hui hai na hogi kisi ki

Wohi ek manzil hai har aadmi ki

Har aadmi ki

Jahaan sab ko jaana padega akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela

Chorus

Aaye bhi akela

Jaaye bhi akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela